निर्माणों के पावन युग में हम चरित्र निर्माण न भूलें !
स्वार्थ साधना की आंधी में वसुधा का कल्याण न भूलें !!
Nirmanon Ke Pavan Yug Mein Hum Charitra Nirman Na Bhulein !
Svarth Sadhana Ki Aandhi Mein Vasudha Ka Kalyan Na Bhulein !!
माना अगम अगाध सिंधु है संघर्षों का पार नहीं है
किन्तु डूबना मझधारों में साहस को स्विकार नही है
जटिल समस्या सुलझाने को नूतन अनुसन्धान न भूलें !!
निर्माणों के पावन युग में हम चरित्र निर्माण न भूलें !
Mana Agam Agadh Sindhu Hai Sangharshon Ka Paar Nahin Hai
Kintu Dubana Majhdharon Mein Sahas Ko Svikar Nahin Hai
Jatil Samasya Sulajhane Ko Nutan Anusandhan Na Bhulein !!
Nirmanon Ke Pavan Yug Mein Hum Charitra Nirman Na Bhulein !
शील विनय आदर्श श्रेष्ठता तार बिना झंकार नही है
शिक्षा क्या स्वर साध सकेगी यदि नैतीक आधार नहीं है
कीर्ति कौमुदी की गरिमा में संस्कृति का सम्मान न भूले !!
निर्माणों के पावन युग में हम चरित्र निर्माण न भूलें !
Sheel Vinay Adarsh Sreshthta Taar Bina Jhankara Nahi Hai
Shiksha Kya Svar Sadh Sakegi Yadi Naitik Aadhar Nahin Hai
Kirti Kaumudi Ki Garima Mein Sanskriti Ka Samman Na Bhulein !!
Nirmanon Ke Pavan Yug Mein Hum Charitra Nirman Na Bhulein !
आविष्कारों की कृतियों में यदि मानव का प्यार नही है
सृजनहीन विज्ञान व्यर्थ है प्राणी का उपकार नही है
भौतिकता के उत्थानों में जीवन का उत्थान न भूलें !!
Avishkaron Ki Kritiyon Mein Yadi Manav Ka Pyar Nahin Hai
Shrajanhin Vigyan Vyarth Hai Prani Ka Upakar Nahin Hai
Bhautikta Ke Utthanon Mein Jivan Ka Utthan Na Bhulein !!